اردو हिंदी
Duniya sabab-e-shorish-e-gham puchh rahi hai | Shaahi Shayari
duniya sabab-e-shorish-e-gham puchh rahi hai

Ghazal

Duniya sabab-e-shorish-e-gham puchh rahi hai

Ejaz Siddiqi

;

duniya sabab-e-shorish-e-gham puchh rahi hai
ek mohr-e-KHamoshi hai ki honTon pe lagi hai

kuchh aur ziyaada asar-e-tishna-labi hai
jab se teri aankhon se chhalakti hui pi hai

is jabr ka ai ahl-e-jahan nam koi hai
kulfat mein bhi aaram hai gham mein bhi KHushi hai

arbab-e-chaman apni bahaaron se ye puchhen
daman-e-gul-o-ghuncha mein kyun aag lagi hai

ai ham-safaro DhunDh lo aasani-e-manzil
apna to ye dil KHugar-e-mushkil-talabi hai

ai mauja-e-tufan tera dil koi bhi toDe
sahil ne safine ko ek aawaz to di hai