duniya ne sach ko jhuT kaha kuchh nahin hua
itna lahu zamin pe baha kuchh nahin hua
pahle bhi karbala mein mashiyyat KHamosh thi
ab ek charagh aur bujha kuchh nahin hua
firaun-e-maslahat sar-e-tur-e-nazar rahe
musa bhi le ke aae asa kuchh nahin hua
mere lahu ko chehre pe mal kar meri zamin
deti rahi falak ko sada kuchh nahin hua
taslis-e-be-hisi ne haram ko zubun kiya
quran bhi rehl-e-jaan se gira kuchh nahin hua
shal ho gae hain hath dua mangte hue
ab kya kahun ki mere KHuda kuchh nahin hua
dekhen wo subh-e-amn kab aae 'safi'-hasan
ab tak siwa-e-jaur-o-jafa kuchh nahin hua

Ghazal
Duniya ne sach ko jhuT kaha kuchh nahin hua
Sayed Safi Hasan