duniya ka ye eazaz ye inam bahut hai
mujh par tere ikram ka ilzam bahut hai
is umr mein ye moD achanak ye mulaqat
KHush-gam abhi gardish-e-ayyam bahut hai
bujhti hui subhen hon ki jalti hui raaten
tujh se ye mulaqat sar-e-sham bahut hai
main marhamat-e-KHas ka KHwahan bhi nahin hun
mere liye teri nigah-e-am bahut hai
kamyab kiya hai use bazar-e-talab ne
hum the to wo arzan tha par ab dam bahut hai
us ghar ki badaulat mere sheron ko hai shohrat
wo ghar ki jo is shahr mein badnam bahut hai
Ghazal
Duniya ka ye eazaz ye inam bahut hai
Mazhar Imam