duniya duniya sair safar thi shauq ki rah tamam hui
is basti mein subh hui thi is basti mein sham hui
kaisi lahar hai sard hawa ki sare ThiThure baiThe hain
kal tak to bas hum chup chup the aaj KHamoshi aam hui
mausam badle dil ka suraj dukh ki ghaTa mein Dub gaya
pyar ke lail-o-nahaar na puchho sham se pahle sham hui
dard ki barkha TuT ke barsi phuT bahe palkon ke band
is barish mein waz-e-wafa ki har koshish nakaam hui
halki si ek lahar thi ab wo tufan ban kar ubhri hai
ek be-nam KHalish thi pahle ab wo tera nam hui
tere sar par raat ki rani mahak mahak kar phul bani
mere sar mein phul ki KHushbu shorish ka paigham hui
chhoTa sa wo dil ka TukDa kya kya faslen deta tha
haif qimar-e-ishq ke karan kaisi zamin nilam hui
pahle to ek saya ubhra phir saya taswir bana
ab wo shakl meri diwar pe goya naqsh-e-dawam hui
ek amal ke do pahlu aawaz-e-salasil jazb ki chup
wo bhi mere nam hui thi ye bhi mere nam hui
ahl-e-hunar ki duniya-talabi shauq-e-shahadat kya karti
ek talwar thi arz-e-hunar ki wo bhi zeb-e-niyam hui
'baqar' tum sayyad-zade ho sar ko uThae phirna kya
shauq-o-talab ki hujjat-e-aKHir aaKHir-kar tamam hui
Ghazal
Duniya duniya sair safar thi shauq ki rah tamam hui
Sajjad Baqar Rizvi