duniya bhi ajab qafila-e-tishna-laban hai
har shaKHs sarabon ke taaqub mein rawan hai
tanha teri mahfil mein nahin hun ki mere sath
ek lazzat-e-pabandi-e-izhaar-o-bayan hai
haq baat pe hai zahar bhare jam ki tazir
ai ghairat-e-iman lab-e-suqraat kahan hai
kheton mein samati nahin phuli hui sarson
baghon mein abhi tak wahi hangam-e-KHizan hai
ehsas mera hijr-gazida hai azal se
kya mujh ko agar koi qarib-e-rag-e-jaan hai
jo dal ke samundar se ubharta hai yaqin hai
jo zehan ke sahil se guzarta hai guman hai
phulon pe ghaTaon ke to sae nahin 'anwar'
aawara-e-gulzar nasheman ka dhuan hai
Ghazal
Duniya bhi ajab qafila-e-tishna-laban hai
Anwar Masood