dukhon ke rup bahut aur sukhon ke KHwab bahut
tera karam hai bahut par mere azab bahut
tu kitna dur bhi hai kis qadar qarib bhi hai
baDa hai hijr ka sahra-e-pur-sarab bahut
haqiqat-e-shab-e-hijran ke raaz khoe gae
tawil din hain baDe raste KHarab bahut
chalenge kitna tere gham ke sath sath qadam
shikanja-ha-e-zamana hain be-hisab bahut
utar gaya hai KHumar-e-sharab-e-zat kahin
hue hain gardish-e-dauran se faizyab bahut
Ghazal
Dukhon ke rup bahut aur sukhon ke KHwab bahut
Tanveer Anjum