dukhon ke phul to hain zaKHm to hai dagh to hai
hara-bhara mere sine mein koi bagh to hai
nahin hai wasl magar KHwab-e-wasl bhi hai bahut
zara si der gham-e-hijr se faragh to hai
bahut ujaDe sahi umr ki sarae magar
shikasta taq mein ek yaad ka charagh to hai
main tishnagi ka gila kya karun ki surat-e-dil
lahu ki mai se chhalakta hua ayagh to hai
tu kho gaya hai mere shahr-e-raftagan lekin
ye ek dard ki KHushbu tera suragh to hai
Ghazal
Dukhon ke phul to hain zaKHm to hai dagh to hai
Farasat Rizwi