اردو हिंदी
Dukhi dilon mein, dukhi sathiyon mein rahte the | Shaahi Shayari
dukhi dilon mein, dukhi sathiyon mein rahte the

Ghazal

Dukhi dilon mein, dukhi sathiyon mein rahte the

Gauhar Hoshiyarpuri

;

dukhi dilon mein, dukhi sathiyon mein rahte the
ye aur baat ki hum muskura bhi lete the

wo ek shaKHs burai pe tul gaya to chalo
sawal ye hai ki hum bhi kahan farishte the

aur ab na aankh na aansu na dhaDkanen dil mein
tumhi kaho ki ye dariya kabhi utarte the

judaiyon ki ghaDi naqsh naqsh bolti hai
wo barf-bar hawa thi, wo dant bajte the

ab in ki gunj yahan tak sunai deti hai
wo qahqahe jo teri anjuman mein lagte the

wo ek din ki mohabbat ka din kahen jis ko
ki aag thi na tapish bas sulagte jate the

kahan wo zabt ke dawe kahan ye hum 'gauhar'
ki TuTte the na phir TuT kar bikharte the