اردو हिंदी
Dukhi dilon ke liye taziyana rakhta hai | Shaahi Shayari
dukhi dilon ke liye taziyana rakhta hai

Ghazal

Dukhi dilon ke liye taziyana rakhta hai

Anjum Rumani

;

dukhi dilon ke liye taziyana rakhta hai
har ek shaKHs yahan ek fasana rakhta hai

kisi bhi haal mein raazi nahin hai dil hum se
har ek tarah ka ye kafir bahana rakhta hai

azal se Dhang hain dil ke ajib se shayad
kisi se rasm-o-rah ghaebana rakhta hai

koi to faiz hai koi to baat hai is mein
kisi ko dost yunhi kab zamana rakhta hai

faqih-e-shahr ki baaton se dar-guzar behtar
bashar hai aur gham-e-ab-o-dana rakhta hai

muamlat-e-jahan ki KHabar hi kya us ko
muamla hi kisi se rakkha na rakhta hai

hamin ne aaj tak apni taraf nahin dekha
tawaqquat bahut kuchh zamana rakhta hai

qalandari hai ki rakhta hai dil ghani 'anjum'
koi dukan na koi kar-KHana rakhta hai