dukh tamasha to nahin hai ki dikhaen baba
ro chuke aur na ab hum ko rulaen baba
kaisi dahshat hai ki KHwahish se bhi Dar lagta hai
munjamid ho gai honTon pe duaen baba
maut hai narm-dili ke liye badnam un mein
hain yahan aur bhi kuchh aisi balaen baba
dagh dikhlaen hum un ko to ye miT jaenge kya
gham-gusaron se kaho yun na sataen baba
ham-safiran-e-chaman yaad to karte honge
par qafas tak nahin aatin wo sadaen baba
patte shaKHon se baraste rahe ashkon ki tarah
raat bhar chalti rahin tez hawaen baba
aag jangal mein bhaDakti hai 'ziya' shahr mein baat
kaise bhaDke hue shoalon ko bujhaen baba
Ghazal
Dukh tamasha to nahin hai ki dikhaen baba
Zia Jalandhari