dukh fasana nahin ki tujh se kahen
dil bhi mana nahin ki tujh se kahen
aaj tak apni bekali ka sabab
KHud bhi jaana nahin ki tujh se kahen
be-tarah haal-e-dil hai aur tujh se
dostana nahin ki tujh se kahen
ek tu harf-e-ashna tha magar
ab zamana nahin ki tujh se kahen
qasida hum faqir logon ka
ek Thikana nahin ki tujh se kahen
ai KHuda dard-e-dil hai baKHshish-e-dost
aab-o-dana nahin ki tujh se kahen
ab to apna bhi us gali mein 'faraaz'
aana jaana nahin ki tujh se kahen
Ghazal
Dukh fasana nahin ki tujhse kahen
Ahmad Faraz