dukh-dard ke maron se mera zikr na karna
ghar jao to yaron se mera zikr na karna
wo zabt na kar paengi aankhon ke samundar
tum rah-guzaron se mera zikr na karna
phulon ke nasheman mein raha hun main sada se
dekho kabhi KHaron se mera zikr na karna
shayad ye andhere hi mujhe rah dikhaen
ab chand sitaron se mera zikr na karna
wo meri kahani ko ghalat rang na de den
afsana-nigaron se mera zikr na karna
shayad wo mere haal pe be-saKHta ro den
is bar bahaaron se mera zikr na karna
le jaenge gahrai mein tum ko bhi baha kar
dariya ke kinaron se mera zikr na karna
wo shaKHs mile to use har baat batana
tum sirf ishaaron se mera zikr na karna

Ghazal
Dukh-dard ke maron se mera zikr na karna
Wasi Shah