Dubone walon ko sharminda kar chuka hunga
main Dub kar hi sahi par utar chuka hunga
pahunch to jaunga aab-e-hayat tak lekin
zaban bhigone se pahle hi mar chuka hunga
sunai jaegi jab tak mujhe saza-e-suKHan
sukut-e-waqt mein aawaz bhar chuka hunga
misal-e-reg hun mein saaton ki muTThi mein
wo jab tak aaega sara bikhar chuka hunga
zamana aaega us waqt KHair-maqdam ko
jab is jahan se 'muzaffar' guzar chuka hunga

Ghazal
Dubone walon ko sharminda kar chuka hunga
Muzaffar Warsi