duaon mein asar baqi na aahon mein asar baqi
hai kuchh le de ke gar baqi to hai ek chashm-e-tar baqi
ye kaisa hadsa guzra ye kaisa saneha bita
na aangan hai na chhat baqi na hain diwar-o-dar baqi
chaman walon ki bad-zauqi pe kaliyan jaan khoti hain
na hain ahl-e-nazar baqi na koi dida-war baqi
pata kya puchhte hain aap hum sahra-nawardon se
na apna shahr hai baqi mohalla hai na ghar baqi
fazaen chup hawaen chup sadaen chup nidaen chup
nawa-e-nim-shab baqi na hai bang-e-sahar baqi
KHuda jaane nizam-e-mai-kada ko kya hua 'shamsi'
na wo husn-e-ata baqi na wo lutf-e-nazar baqi
Ghazal
Duaon mein asar baqi na aahon mein asar baqi
Sajjad Shamsi