اردو हिंदी
Duaon ke diye jab jal rahe the | Shaahi Shayari
duaon ke diye jab jal rahe the

Ghazal

Duaon ke diye jab jal rahe the

Faizan Arif

;

duaon ke diye jab jal rahe the
mere gham aansuon mein Dhal rahe the

kisi neki ka saya tha saron par
jo lamhe aafaton ke Tal rahe the

hua ehsas ye aadhi sadi baad
yahan par sirf raste chal rahe the

watan ki azmaton ko Dasne wale
watan ki aastin mein pal rahe the

bahut nazdik thi manzil hamari
magar sab raste daldal rahe the

nahin badle abhi munsif yahan ke
wahi hain faisle jo kal rahe the

jahan faizan-e-abaadi bahut hai
wahan par bhi ghane jangal rahe the