dua ki rakh pe marmar ka itr-dan us ka
gazidgi ke liye dast-e-mehrban us ka
gahan ke roz wo daghi hui jabin us ki
shab-e-shikast wahi jism be-aman us ka
kamand-e-ghair mein sab asp o gosfand us ke
nasheb-e-KHak mein KHufta-sitara-dan us ka
tannur-e-yaKH mein ThiThurte hain KHwab o KHun us ke
likha hai nam sar-e-lauh-e-raftagan us ka
chuni hui hain tah-e-KHisht ungliyan us ki
khula hua hai pas-e-reg baadban us ka
wo ek charagh hai diwar-e-KHastagi pe ruka
hawa ho tez to har haal mein ziyan us ka
usi se dhup hai ambar-e-dhund hai ru-posh
giraft-e-KHwab se barsar hai karwan us ka
Ghazal
Dua ki rakh pe marmar ka itr-dan us ka
Afzal Ahmad Syed