doston ki ata hai KHamoshi
ab mera muddaa hai KHamoshi
alam ki ibtida hai hangama
alam ki intiha hai KHamoshi
dard ke shahr mein hai ghar mera
mere ghar ka pata hai KHamoshi
is taraf main hun us taraf wo hain
bich ka fasla hai KHamoshi
bhigti raat ki hatheli par
misl-e-rang-e-hina hai KHamoshi
dosto KHud talak pahunchne ka
muKHtasar rasta hai KHamoshi
kash samjhen zaban wale bhi
be zaban ki dua hai KHamoshi
marne wale ne ye kaha 'firdaus'
zindagi ka sila hai KHamoshi
Ghazal
Doston ki ata hai KHamoshi
Firdaus Gayavi