dosto kya hai takalluf mujhe sar dene mein
sab se aage hun main kuchh apni KHabar dene mein
phenk deta hai udhar phul wo gahe gahe
jaane kya der hai daman mera bhar dene mein
saikaDon gum-shuda duniyaen dikha din us ne
aa gaya lutf use luqma-e-tar dene mein
shaeri kya hai ki ek umr ganwai hum ne
chand alfaz ko imkan o asar dene mein
baat ek aai hai dil mein na bataun us ko
aib kya hai magar izhaar hi kar dene mein
use malum tha ek mauj mere sar mein hai
wo jhijhakta tha mujhe hukm-e-safar dene mein
main nadi par karun soch raha hun 'bani'
mauj masruf hai pani ko bhanwar dene mein
Ghazal
Dosto kya hai takalluf mujhe sar dene mein
Rajinder Manchanda Bani