dost ya dushman-e-jaan kuchh bhi tum ab ban jao
jine marne ka mere ek to sabab ban jao
ho misalon mein na jo husn ajab ban jao
kis ne tum se ye kaha tha ki ghazab ban jao
aa baso dil ki tarah ghar mein bhi ai KHush-ilhan
zindagi bhar ko mera saz-e-tarab ban jao
rashk qismat pe meri sare zamane ko rahe
ham-safar tum jo liye apne ye chhab ban jao
main ne chaha tha sar-e-subh jawani bhi yahi
tum hi sanson ki mahak dil ki talab ban jao
kuchh to ehsas chhuTe dil se andheron ka mere
zist tarik ko ek sham-e-shab ban jao
dil mein rakhta hun mohabbat ka KHazana jaanan
chhoD kar sara jahan meri hi ab ban jao
zat qurbat se hamesha hi munawwar chahun
kab kaha us se KHalish raunaq-e-shab ban jao
Ghazal
Dost ya dushman-e-jaan kuchh bhi tum ab ban jao
Shafiq Khalish