dost kya KHud ko bhi pursish ki ijazat nahin di
dil ko KHun hone diya aankh ko zahmat nahin di
hum bhi us silsila-e-ishq mein baiat hain jise
hijr ne dukh na diya wasl ne rahat nahin di
hum bhi ek sham bahut uljhe hue the KHud mein
ek sham us ko bhi haalat ne mohlat nahin di
aajizi baKHshi gai tamkanat-e-faqr ke sath
dene wale ne hamein kaun si daulat nahin di
bewafa dost kabhi lauT ke aae to unhen
hum ne izhaar-e-nadamat ki aziyyat nahin di
dil kabhi KHwab ke pichhe kabhi duniya ki taraf
ek ne ajr diya ek ne ujrat nahin di
Ghazal
Dost kya KHud ko bhi pursish ki ijazat nahin di
Iftikhar Arif