dost ke shahr mein jab main pahuncha shahr ka manzar achchha tha
lal-o-gohar se bhi us ki dahliz ka patthar achchha tha
barish dhup ki baat juda thi la-mahdud masafat mein
nange sar par jaisa bhi tha gumbad-e-be-dar achchha tha
kis lahje kin lafzon mein shahkar-e-azal ki baat karun
duniya bhar ke fan-paron se KHak ka paikar achchha tha
chamak-damak ke makr se nikle karb ke bandhan TuT gae
sham-e-judai ke mahtab se subh ka aKHtar achchha tha
jaane kis lalach mein aa kar sar ka saya bech diya
meinh mein bhige yaad aaya tinkon ka chhappar achchha tha
palkon se har zaKHm siya tha ek anjaane mohsin ne
sang-zanon ki nagri mein bhi koi rafu-gar achchha tha
'rasiKH' sondhi miTTi ki aiwanon mein mahkar kahan
rauzan rauzan jhank ke dekha kachcha hi ghar achchha tha

Ghazal
Dost ke shahr mein jab main pahuncha shahr ka manzar achchha tha
Rasikh Farani