dost jab dil sa aashna hi nahin
ab hamein ghair ka gila hi nahin
jis ka dil dard-ashna hi nahin
us ke jine ka kuchh maza hi nahin
ek dam hum se wo juda hi nahin
gar juda ho to wo KHuda hi nahin
aashnai pe us ki mat jaana
le ke dil phir wo aashna hi nahin
KHak chhani jahan ki lekin
dil-e-gum-gashta ka pata hi nahin
lakh mashuq hain jahan mein magar
aah wo naz wo ada hi nahin
sai-e-be-faeda hai chaaragaro
maraz-e-ishq ki dawa hi nahin
dard-e-dil un se hum kaha hi kiye
par unhon ne kabhi suna hi nahin
sar phiraata hai kyun abas naseh
mera kahne mein dil raha hi nahin
ab wo aae to aaen kya hasil
taqat-e-arz-e-muddaa hi nahin
main to kya gosh-e-charKH ne bhi 'aish'
aisa bedad-gar suna hi nahin
Ghazal
Dost jab dil sa aashna hi nahin
Aish Dehlvi