dost ban kar bhi kahin ghat laga sakti hai
maut ka kya hai kisi rup mein aa sakti hai
in makanon mein ye dhaDka sa laga rahta hai
agli barish dar-o-diwar gira sakti hai
tera din ho ki meri raat nahin ruk sakte
apne mehwar pe zamin KHud ko ghuma sakti hai
aisi tartib se raushan hain teri mahfil mein
ek hi phunk charaghon ko bujha sakti hai
mera fan mere KHad-o-KHal pe taqsim hua
meri bini meri taswir bana sakti hai
fitratan us ki mahak chaaron taraf phailegi
phul se mauj-e-saba shart laga sakti hai
KHush na ho itna ki yun raushaniyan phuT paDen
is chaka-chaund mein binai bhi ja sakti hai
gudgudahaT mein 'nasim' us ne nahin socha tha
ye hansi TuT ke bachche ko rula sakti hai

Ghazal
Dost ban kar bhi kahin ghat laga sakti hai
Naseem Abbasi