donon ke jo darmiyan KHala hai
ye asl mein koi tisra hai
tujh bin ye mera wajud kya hai
ek peD hai aur khokhla hai
ek chap sunai de rahi hai
darwaze se wo palaT gaya hai
wo ek din intizar ka din
phir zindagi bhar wo din raha hai
tabir batai ja chuki hai
ab aankh ko KHwab dekhna hai
bas dhund nigal chuki hai ye raat
nazzara tamam ho chuka hai
Ghazal
Donon ke jo darmiyan KHala hai
Ahmad Ata