dohraun kya fasana-e-KHwab-o-KHayal ko
guzre kai firaq kisi ke visal ko
rishta ba-juz-guman na tha zindagi se kuchh
main ne faqat qayas kiya mah o sal ko
shayad wo sang-dil ho kabhi mail-e-karam
surat na de yaqin ki is ehtimal ko
targhib ka hai wusat-e-imkan pe inhisar
ram-KHurdagi sikhata hai sahra ghazal ko
'sahba' sada bahaar hai ye gulsitan-e-fan
mumkin nahin zawal suKHan ke kamal ko
Ghazal
Dohraun kya fasana-e-KHwab-o-KHayal ko
Sahba Akhtar