do qadam sath kya chala rasta
ban gaya mera ham-nawa rasta
bichhDa apne musafiron se jab
kitna mayus ho gaya rasta
sab hain manzil ki justuju mein yahan
kaun dekhe bura bhala rasta
aisi hone lagi thakan us ko
din ke Dhalte hi so gaya rasta
phir nai kaenat dekhunga
mere andar agar mila rasta
tu baDa KHush-nasib hai 'azar'
tujh pe aasan ho gaya rasta
Ghazal
Do qadam sath kya chala rasta
Balwan Singh Azar