do ek sal hi ek se sarahi jati hai
isi tarah se hamesha tu chahi jati hai
karen na byah, milen sukh, suhaen falsafa KHub
tere buzurgon ki sab kaj-kulahi jati hai
hai tujh mein mujh se bigaD ab ek aur ke aage
teri sakhi teri dene gawahi jati hai
biraje ghar mein mujhe chahe tujh ko bahkae
le teri bahan ki ab sarbarahi jati hai
tazad-e-zat mein zile alag wachan bekar
lagan to tyag ke jiwan nibahi jati hai
tere sarir ko kaise mile suhag ka sukh
tu apne aap hi din rain byahi jati hai
dua salam chala main ki mere hone se
tera waqar teri KHud-nigahi jati hai
Ghazal
Do ek sal hi ek se sarahi jati hai
Nasir Shahzad