diye se lau nahin pindar le kar ja rahi hai
hawa ab subh ke aasar le kar ja rahi hai
hamesha noch leti thi KHizan shaKHon se patte
magar is bar to ashjar le kar ja rahi hai
main ghar se ja raha hun aur likhta ja raha hun
jahan tak KHwahish-e-didar le kar ja rahi hai
KHala mein ghaib ki aawaz ne chhoDa hai mujh ko
main samjha tha mujhe us par le kar ja rahi hai
mujhe us nind ke mathe ka bosa ho inayat
jo mujh se KHwab ka aazar le kar ja rahi hai
yahan par raat ko achchha nahin kahta hai koi
so apne kasa o dinar le kar ja rahi hai
tamashe ke sabhi kirdar mare ja chuke hain
kahani sirf ek talwar le kar ja rahi hai
Ghazal
Diye se lau nahin pindar le kar ja rahi hai
Ghzala Shahid