اردو हिंदी
Diye munDeron ke raushan qatar hone lage | Shaahi Shayari
diye munDeron ke raushan qatar hone lage

Ghazal

Diye munDeron ke raushan qatar hone lage

Mohammad Ahmad Ramz

;

diye munDeron ke raushan qatar hone lage
lawen tarashne wale farar hone lage

dabiz pardon pe manus lahren uThne lagi
hawa ke hath darichon se par hone lage

adu bhi bharne lage dam teri rifaqat ka
ab aise-waise tamashe bhi yar hone lage

ab aane wali kisi rut ka intizar ho kya
jaDon se apni shajar daghdar hone lage

falak ke purze ab uDne mein koi der nahin
pahaD sarke zaminon mein ghaar hone lage

khula mahaz to hogi hamari paspai
hum apne KHauf-e-darun ka shikar hone lage

safar hai saKHt bahut saKHt agle moD ke baad
chamak rahe the jo manzar ghubar hone lage

na koi mauj-e-tamasha na aks-e-hairat 'ramz'
hamare aaine be-e'tibar hone lage