diye jala ke hawaon ke munh pe mar aaya
koi to hai jo andheron ka qarz utar aaya
KHuda se jab bhi kaDi dhup ki shikayat ki
to meri rah mein ek peD saya-dar aaya
kahan hui kabhi us se hamari did-o-shunid
hawa ke rath pe hamesha hi wo sawar aaya
sukun banTti phirti hun main zamane mein
na jaane kyun mere hisse mein intishaar aaya
hazar bar mera dard muskuraega
hazar bar agar mausam-e-bahaar aaya
sabab main DhunD rahi thi meri udasi ka
tera KHayal mujhe aaj bar bar aaya
kiya hai us ne hi ghaarat mera sukun magar
usi ke nam pe 'raKHshan' mujhe qarar aaya

Ghazal
Diye jala ke hawaon ke munh pe mar aaya
Rakhshan Hashmi