diya sa dil ke KHarabe mein jal raha hai miyan
diye ke gird koi aks chal raha hai miyan
ye ruh raqs-e-charaghan hai apne halqe mein
ye jism saya hai aur saya Dhal raha miyan
ye aankh parda hai ek gardish-e-tahayyur ka
ye dil nahin hai bagula uchhal raha hai miyan
kabhi kisi ka guzarna kabhi Thahar jaana
mere sukut mein kya kya KHalal raha hai miyan
kisi ki rah mein aflak zer-e-pa hote
yahan to panw se sahra nikal raha hai miyan
hujum-e-shoKH mein ye dil hi be-gharaz nikla
chalo koi to harifana chal raha hai miyan
tujhe abhi se paDi hai ki faisla ho jae
na jaane kab se yahan waqt Tal raha hai miyan
tabiaton hi ke milne se tha maza baqi
so wo maza bhi kahan aaj-kal raha hai miyan
ghamon ki fasl mein jis gham ko raegan samjhen
KHushi to ye hai ki wo gham bhi phal raha hai miyan
likha 'nasir' ne har rang mein safed-o-siyah
magar jo harf lahu mein machal raha hai miyan
Ghazal
Diya sa dil ke KHarabe mein jal raha hai miyan
Naseer Turabi