diya nasib mein nahin sitara baKHt mein nahin
to kya sharar bhi wajud-e-sang-e-saKHt mein nahin
meri baqa ka raaz hai musafirat musafirat
so naqsh-e-pa baghair mere saz-o-raKHt mein nahin
mujhe hai shahr ke gharon se sirf is qadar gila
ki bhai husn aasman-e-laKHt-laKHt mein nahin
mera kamal munhasir hai mere iKHtisar par
meri numu ka shaiba kisi daraKHt mein nahin
faqir-e-shahr bhi raha hun 'shahryar' bhi magar
jo itminan faqr mein hai taj-o-taKHt mein nahin
Ghazal
Diya nasib mein nahin sitara baKHt mein nahin
Ahmad Shahryar