diya jala ke koi chand par rakha hoga
usi ke sae mein wo hum ko DhunDhta hoga
koi to zid mein ye aa kar kabhi kahe hum se
ye baat yun nahin aise thi yun hua hoga
tumhaara ghar sar-e-mahtab jo bana Dale
tumhaara beTa nahin wo KHuda raha hoga
wo aankhen abr ki manind ro rahi hongi
wo zina KHwab mein mahtab par Tika hoga
ye kya zaruri hai aaankhon mein der tak rahna
KHayal aap hi taswir ban gaya hoga
sunahre pinjre ki apni hi haisiyat hogi
parinda KHush hai magar KHub chiKHta hoga
kaha hai ek nujumi ne tum miloge hamein
zamin se chand talak ek rasta hoga
KHuda kare ki bahut jald tum ko dekh aaen
tumhaare ghar mein ab ek phul khil uTha hoga
Ghazal
Diya jala ke koi chand par rakha hoga
Fay Seen Ejaz