din raat kis ki yaad thi kaisa malal tha
sadqe mein kuchh to bol tu kya tujh pe haal tha
chhuTa tera mariz agar mar gaya ki shoKH
jo dam tha zindagi ka so us par wabaal tha
naKHun tere ki mehndi se tanha nahin hain dagh
chande shafaq se nal-dar-atish hilal tha
is soch se khuli hai haqiqat ki ek umr
makkhi ki farj o shaiKH ki daDhi ka baal tha
ko chashm-e-fahm taki nazar aae ye ki yan
dekha jo kuchh so KHwab jo samjha KHayal tha
jhagDa mera kiya hi na tin saf warna shoKH
zarra zaban pe tegh ki ye infisal tha
'qaem' main reKHta ko diya KHilat-e-qubul
warna ye pesh-e-ahl-e-hunar kya kamal tha
Ghazal
Din raat kis ki yaad thi kaisa malal tha
Qayem Chandpuri