din mein is tarah mere dil mein samaya suraj
raat aankhon ke ufuq par ubhar aaya suraj
apni to raat bhi jalte hi kaTi din ki tarah
raat ko so to gaya din ka sataya suraj
subh nikla kisi dulhan ki damak ruKH pe liye
sham Duba kisi bewa sa bujhaya suraj
raat ko main mera saya the ikaTThe donon
le gaya chhin ke din ko mera saya suraj
din guzarta na tha kam-baKHt ka tanha jalte
wadi-e-shab se mujhe DhunD ke laya suraj
tu ne jis din se mujhe saunp diya zulmat ko
tab se din mein bhi na mujh ko nazar aaya suraj
aasman ek sulagta hua sahra hai jahan
DhunDhta phirta hai KHud apna hi saya suraj
din ko jis ne hamein nezon pe chaDhae rakkha
shab ko hum ne wahi palkon pe sulaya suraj
Ghazal
Din mein is tarah mere dil mein samaya suraj
Azad Gulati