din ko the hum ek tasawwur raat ko ek KHwab the
hum samundar ho ke bhi is ke liye payab the
sard se marmar pe shab ko jo ubhaare the nuqush
subh ko dekha to sab aks-e-hunar nayab the
wo ilaqe zindagi-bhar jo nami manga kiye
kal ghaTaen chhain to dekha ki zer-e-ab the
ek kiran bhi ahd mein un ke na bhule se mili
din ke jo suraj the apne raat ke mahtab the
aaj un peDon pe suraj ki kiran rukti nahin
kal yahi the bar-awar kal yahi shadab the
ab khula ki bundiyan moti hain Dhalti thin kahan
hum jo Dube hath apne gauhar-e-nayab the
koi apni bhi haqiqat mil ke dariya se 'shafaq'
chhoTe chhoTe apne nale kis qadar betab the
Ghazal
Din ko the hum ek tasawwur raat ko ek KHwab the
Farooq Shafaq