din ko daftar mein akela shab bhare ghar mein akela
main ki aks-e-muntashir ek ek manzar mein akela
uD chala wo ek juda KHaka liye sar mein akela
subh ka pahla parinda aasman bhar mein akela
kaun de aawaz KHali raat ke andhe kuen mein
kaun utre KHwab se mahrum bistar mein akela
us ko tanha kar gai karwaT koi pichhle pahar ki
phir uDa bhaga wo sara din nagar bhar mein akela
ek maddham aanch si aawaz sargam se alag kuchh
rang ek dabta hua sa pure manzar mein akela
bolti taswir mein ek naqsh lekin kuchh haTa sa
ek harf-e-mo'tabar lafzon ke lashkar mein akela
jao maujo meri manzil ka pata kya puchhti ho
ek jazira dur uftada samundar mein akela
jaane kis ehsas ne aage nahin baDhne diya tha
ab paDa hun qaid main raste ke patthar mein akela
hu-ba-hu meri tarah chup-chap mujh ko dekhta hai
ek larazta KHub-surat aks saghar mein akela
Ghazal
Din ko daftar mein akela shab bhare ghar mein akela
Rajinder Manchanda Bani