din ki bedard thakan chehre pe le kar mat ja
baam-o-dar jag rahe honge abhi ghar mat ja
mere purkhon ki wirasat ka bharam rahne de
tu haweli ko khula dekh ke andar mat ja
bund bhar dard sambhalta nahin kam-zarfon se
rakh ke tu apni hatheli pe samundar mat ja
phuTne de meri palkon se zara aur lahu
ai meri nind abhi chhoD ke bistar mat ja
kuchh to rahne de abhi tark-e-wafa ki KHatir
tujh ko jaana hai to ja hath jhaTak kar mat ja
aur kuchh der ye mashq-e-nigah-e-naz sahi
samne baiTh abhi phenk ke KHanjar mat ja
dhup kya hai tujhe andaza nahin hai 'qaisar'
aable panw mein paD jaenge bahar mat ja
Ghazal
Din ki bedard thakan chehre pe le kar mat ja
Qaisar-ul-Jafri