din ka phul abhi jaga tha
dhup ka hath baDha aata tha
surKH chanaron ke jangal mein
patthar ka ek shahr basa tha
pile pathrile hathon mein
nili jhil ka aaina tha
ThanDi dhup ki chhatri tane
peD ke pichhe peD khaDa tha
dhup ke lal hare honTon ne
tere baalon ko chuma tha
tere aks ki hairani se
bahta chashma Thahar gaya tha
teri KHamoshi ki shah pa kar
main kitni baaten karta tha
teri hilal si ungli pakDe
main koson paidal chalta tha
aankhon mein teri shakl chhupae
main sab se chhupta phirta tha
bhuli nahin us raat ki dahshat
charKH pe jab tara TuTa tha
raat gae sone se pahle
tu ne mujh se kuchh puchha tha
yun guzri wo raat bhi jaise
sapne mein sapna dekha tha
Ghazal
Din ka phul abhi jaga tha
Nasir Kazmi