din ek ke baad ek guzarte hue bhi dekh
ek din tu apne aap ko marte hue bhi dekh
har waqt khilte phul ki jaanib taka na kar
murjha ke pattiyon ko bikharte hue bhi dekh
han dekh barf girti hui baal baal par
tapte hue KHayal ThiThurte hue bhi dekh
apnon mein rah ke kis liye sahma hua hai tu
aa mujh ko dushmanon se na Darte hue bhi dekh
paiwand baadalon ke lage dekh ja-ba-ja
baglon ko aasman katarte hue bhi dekh
hairan mat ho tairti machhli ko dekh kar
pani mein raushni ko utarte hue bhi dekh
us ko KHabar nahin hai abhi apne husn ki
aaina de ke bante-e-sanwarte hue bhi dekh
dekha na hoga tu ne magar intizar mein
chalte hue samay ko Thaharte hue bhi dekh
tarif sun ke dost se 'alwi' tu KHush na ho
us ko teri buraiyan karte hue bhi dekh
Ghazal
Din ek ke baad ek guzarte hue bhi dekh
Mohammad Alvi