din Dhal chuka tha aur parinda safar mein tha
sara lahu badan ka rawan musht-e-par mein tha
jate kahan ki raat ki banhen thin mushtail
chhupte kahan ki sara jahan apne ghar mein tha
had-e-ufuq pe sham thi KHeme mein muntazir
aansu ka ek pahaD sa hail nazar mein tha
lo wo bhi KHushk ret ke Tile mein Dhal gaya
kal tak jo ek koh-e-giran rahguzar mein tha
utra tha wahshi chiDiyon ka lashkar zamin par
phir ek bhi sabz pat na sare nagar mein tha
pagal si ek sada kisi ujDe makan mein thi
khiDki mein ek charagh bhari-dopahar mein tha
us ka badan tha KHauf ki hiddat se shoala-wash
suraj ka ek gulab sa tasht-e-sahar mein tha
Ghazal
Din Dhal chuka tha aur parinda safar mein tha
Wazir Agha