اردو हिंदी
Din-ba-din safha-e-hasti se miTa jata hun | Shaahi Shayari
din-ba-din safha-e-hasti se miTa jata hun

Ghazal

Din-ba-din safha-e-hasti se miTa jata hun

Sardar Saleem

;

din-ba-din safha-e-hasti se miTa jata hun
ek jine ke liye kitna mara jata hun

apne pairon pe khaDa bolta paikar hun magar
aahaTon ki tarah mahsus kiya jata hun

tu bhi jaise meri aankhon mein khincha jata hai
main bhi jaise teri sanson sama jata hun

nur ki shaKH se TuTa hua patta hun main
waqt ki dhup mein madum hua jata hun

sath chhuTa to kaDa waqt zarur aaega
aap kahte hain to be-shak main chala jata hun

hadse jitna mujhe dur kiye dete hain
utna manzil se main nazdik hua jata hun

dekhne mein to main zarra nazar aata hun 'salim'
dekhte dekhte KHurshid pe chha jata hun