اردو हिंदी
Din-ba-din ab lutf tera hum pe kam hone laga | Shaahi Shayari
din-ba-din ab lutf tera hum pe kam hone laga

Ghazal

Din-ba-din ab lutf tera hum pe kam hone laga

Siraj Aurangabadi

;

din-ba-din ab lutf tera hum pe kam hone laga
ya to tha waisa karam ya ye sitam hone laga

sach kaho taqsir kya hai aashiq-e-mazlum ki
nimcha tirchhi nigah ka kyun alam hone laga

tegh-e-abru kun nipaT kaste ho pan hairan hun main
kaun se bimar par ye aab dam hone laga

shukr-e-allah sarw-e-rana ke tasawwur ke tufail
rafta rafta dil mera bagh-e-iram hone laga

bas karo ai shah-e-fauj-e-husn qatl-e-am kun
aashiqon ki aah ka neza alam hone laga

tujh kun ai aahu-nigah kis ne sikhaya ye tarah
ya to tha auron sin ram ya hum sin ram hone laga

hijr ki raaton mein ye misra hua wird-e-'siraj'
din-ba-din ab lutf tera hum pe kam hone laga