din agar chaDhta udhar se main idhar se jagta
husn sara mashriqon ka sath mere jagta
main agar milta na us se is azal ki sham mein
KHwab in diwar-o-dar ka dil mein kaise jagta
hai misal-e-baad-e-gulshan jagna us shoKH ka
rang jaise dur ka rangon ke pichhe jagta
ab wo ghar baqi nahin par kash us tamir se
ek shahr-e-arzu aankhon ke aage jagta
chand chaDhta dekhna behad samundar par 'munir'
dekhna phir bahr ko us ki kashish se jagta
Ghazal
Din agar chaDhta udhar se main idhar se jagta
Muneer Niyazi