dilon se dard dua se asar nikalta hai
ye kis bahisht ki jaanib bashar nikalta hai
paDa hai shahr mein chandi ke bartanon ka riwaj
so is azab se ab kuza-gar nikalta hai
miyan ye chadar-e-shohrat tum apne pas rakho
ki is se panw jo Dhanpen to sar nikalta hai
KHayal-e-gardish-e-dauran ho kya use ki jo shaKHs
girah mein man ki dua bandh kar nikalta hai
main sang-e-mil hun patthar nahin hun raste ka
so kyun zamana mujhe raund kar nikalta hai
mere suKHan pe tu dad-e-suKHan nahin deta
teri taraf mera qarz-e-hunar nikalta hai
suKHnwaran-e-qad-awar mein tera qad 'muKHtar'
ajab nahin hai jo baalisht-bhar nikalta hai
Ghazal
Dilon se dard dua se asar nikalta hai
Mohammad Mukhtar Ali