dilon mein aag labon par gulab rakhte hain
sab apne chehron pe dohri naqab rakhte hain
hamein charagh samajh kar bujha na paoge
hum apne ghar mein kai aaftab rakhte hain
bahut se log ki jo harf-ashna bhi nahin
isi mein KHush hain ki teri kitab rakhte hain
ye mai-kada hai wo masjid hai wo hai but-KHana
kahin bhi jao farishte hisab rakhte hain
hamare shahr ke manzar na dekh paenge
yahan ke log to aankhon mein KHwab rakhte hain
Ghazal
Dilon mein aag labon par gulab rakhte hain
Rahat Indori