dilon ki or dhuan sa dikhai deta hai
ye shahr to mujhe jalta dikhai deta hai
jahan ki dagh hai yan aage dard rahta tha
magar ye dagh bhi jata dikhai deta hai
pukarti hain bhare shahr ki guzargahen
wo roz sham ko tanha dikhai deta hai
ye log TuTi hui kashtiyon mein sote hain
mere makan se dariya dikhai deta hai
KHizan ke zard dinon ki siyah raaton mein
kisi ka phul sa chehra dikhai deta hai
kahin mile wo sar-e-rah to lipaT jaen
bas ab to ek hi rasta dikhai deta hai
Ghazal
Dilon ki or dhuan sa dikhai deta hai
Ahmad Mushtaq