dilon ke zaKHm bharte kyun nahin hain
hum is par ghaur karte kyun nahin hain
dagha de kar nikal jati hai aage
KHushi se log Darte kyun nahin hain
tijarat kyun adhuri hai hamari
hamare nap bharte kyun nahin hain
kisi ne bhi na puchha dushmanon se
mohabbat aap karte kyun nahin hain
hamari zindagi hai maut jaisi
yahi sach hai to marte kyun nahin hain
nazar auron pe kyun rahti hai 'haaris'
hum apna kaam karte kyun nahin hain

Ghazal
Dilon ke zaKHm bharte kyun nahin hain
Obaid Haris