dilon ka haal wo be-e'tibar kya jaane
jise na pyar mila ho wo pyar kya jaane
ada se aai chaman mein ada se lauT gai
gulon pe bit gai kya bahaar kya jaane
na koi KHwab hai aankhon mein aur na be-KHwabi
kahan ruki hai shab-e-intizar kiya jaane
use bhulae hue muddaten huin lekin
ye kaun chhuta hai dil bar bar kiya jaane
phir ek bar chalo us gali mein ho aaen
wo mil hi jae sar-e-rahguzar kya jaane

Ghazal
Dilon ka haal wo be-etibar kya jaane
Mushtaq Naqvi