dilbar ye wo hai jis ne dil ko dagha diya hai
ai chashm dekh tujh ko main ne sujha diya hai
tegh-e-sitam se mera jo KHun-baha diya hai
qatil ne mere dil ka ye KHun-baha diya hai
naqsh qadam gali ka teri bana diya hai
kyun kar uThun ki dil ne mujh ko biTha diya hai
ai chashm gar ye za hai rone ko tere zahmat
ro ro ke abr ko bhi tu ne rula diya hai
sar-rishta-e-wafa se kya shama-ru hain waqif
hum ne patang un se milna uDa diya hai
dil de ke jaan ka muft ek rog hi KHarida
daulat se teri main ne ye kuchh liya diya hai
jate nazar jidhar hi ek nur jalwa-gar hai
mukhDe se aaj parda kisi ne uTha diya hai
tu pan kha ke hansna ek sahal sa hai samjha
ye barq wo hai jis ne aalam jala diya hai
kyun hum se ho bigaDte hum ne to shaiKH sahab
holi se peshtar hi tum ko bana diya hai
kyun kar na mere dil ka shisha ho TukDe TukDe
nazron se is ko zalim tu ne gira diya hai
panw se kya jagaya tu ne hi mujh ko goya
Thokar se baKHt-e-KHufta mera jaga diya hai
kya jaanun ishq kya hai lekin kisi ne 'ehsan'
ek aag ka sa shoala dil ko laga diya hai
Ghazal
Dilbar ye wo hai jis ne dil ko dagha diya hai
Abdul Rahman Ehsan Dehlvi